Tuesday, October 28, 2008

Kehne ko her sitam zindagi mein imtihan hota hai,
Jis ka tujh sa yaar ho woh, naseeeb wala hota hai,
Choti sii baat per rooth jana tera,
Phir tujhe mananey ka poora ehtimaam hota hai,
Tera mujhe satana yu baar baar,
Mera rouz rouz imtihan lyne jysa hota hai,
Meri baatein sunn ker tera yun hasna jysey,
Tareek raat kay baad subah ka ujala hota hai,
Hastey hastey ruk jana tera…yeh ehsaas dilata hai,
Bersaat kay baad jysey khizaa ka mausam hota hai,
Ankhoun mein chamak aysee hai teri,
Shaam ka pehla sitara jyse hota hai............

No comments: